Template Kya Hota Hai | Template Ka Use Kaise Karte Hai | Techonpt

Share it:

 Hello Friends Suwagat Hai Apka Hamare Channel TechYedo Par Aaj Ki Iss Post Me Janenge Blogger Templates Ke Bare Me Toh Chaliye Jante Hai

Jab baat apni blog site ki ho tab ham template ki baat karte hai tamplate hamare website ka look hota hai jis tarah ham khud ko , sundar dikhane ke liye acche kapde pehente hai, ache ache jewellery pehente hai usi tarah ham blog ko sundar dikhane ke liye template upload karte hai kai sare logo se hamne suna hai ki blog me content jyada important hote hai lekin content ache hone ke baad , aapke blog par visitors kaam aate hai, toh jarror hi bohot sare karna me se ek karan aapka theme bhi hai kyuki template sirf sundarta ke liye nahi hote balki website loading speed website SEO, website mobile friendly hone ke liye bhi jimmedaar hota hai hamare ka sara structure data , theme par hi tika hota hai Structure data kya hai iske bare me hamne bata diya hai.

Template kaisa hona chahiye 

Sabse jyada aapko in chaar baato ka dhyan rakhna chahiye kyuki in cheeji me lami ke karan hi , blog rank down hoti hai.i

mobilele friendly:

Mobile Friendly theme hone ka matlab hai ki template ka mobile ke hisab se adjust ho jana aap khud sochiye agar aap ek website ko mobile me open kare aur computer ke jaise dikhe toh kya aapko us blog me rehne ka man karega nahi na toh isliye template ka mobile friendly hona jaroori hai mobile friendly hona hi chahiye.

Fast loading:

Fast loading theme hone ka matlab ki aapki website jitna kam time open hone me utna hi jyada behtar hota hai hamare website, ranking ke liye kyuki abb google bhi un website ki jyada important deta hai jinki loading speed bohot kam ho isliye fast loading template hona boht jaroori hai 

SEO friendly:

SEO Friendly theme hone ka matlab hai ki uski coding sahi se ki gayi ho agar coding sahi se nahi ki gayi hoti toh search console me blog me kai sare errors aate hai jaise -structure data errors, no herf language error aur duplicate meta description error. aur site ki loading speed jyada hone ke piche bhi , template coding hi jimmedar hai in sabhi errrord ko aap check kar ke fix kar sakte hai ham jaldi hi is par post likhenge.

Simple colors

Simple colour theme hone ka matlab ki apne blog ko khoobsurat dikhane ke liye template me jo jitne bhi rango ka istemal kare bo ankhen ko na chubhe agar aanke ko chubhne bale rango ka istemal hua toh visitors aa toh Jayenge lekin rukenge nahi toh esi galti kabhi na kare hamesha aankho ko pasand aane bale rang hi istemal kare.

Template Sides bar me kon sa widget jaroori hai.

Uper jo apne padha bo theme ke andar ki cheeje thi jo har template me honi chahiye abb baat karte hai website ke sidebar ki aur footer ki yahabhi kai sare widget add karne hote hai aur hame ye jaanna jaroori hai ki kon sa widget rakhna hamare website ke liye accha hota hai.

Stylish subscription widget add karna jaroori hai , ske aapke blog ke subscriber badhege jisse aapke new post ko turant views milega.

About author widget add karna jaroori hai, isse visitors ko aasani se pata chal jata hai ki is, website ka owner kon hai isse aapki pehchan bhi jaldi banti hai.

Stylish social media links add karna bhi jaroori hai taki aapke facebook, twitter, youtube me aapke followers badh sake.

Lables bhi add kar sakte hai, bese ise footer me bhi rakha ja sakta hai, aur agar aap nahi bhi rakhe toh bhi koi problem nahi kyuki menubar me aap category link laga sakte hai,

Website me pages add karna bohot jaroori hota hai, jise aao teen tareeko se add kar sakte hai footer me pages linky add karke, menubar me pages links add karke aur pages widget add karke.

Share it:

blogger

Internet