Stock Marketing Kya Hai | Stock Marketing Kaise Work Karta Hai | Stock Market Me Invest Kaise Kare | TechonPT

Share it:

 Hello Friends Suwagat Hai Apka Hamare Channel TechonPT Par Aaj Ki Iss Post Me Janenge Stock Marketing Ke Bare Me Toh Chaliye Jante Hai

Hello Dosto Aaj Me Aapko Bata Jaraha hu stock market ke bare dosto market ka matlab hota hai esi Jagah jaha oar cheeji ki buy aur sell ki jati hai theek ushi tarah  share market (Stock bazar) ek esi jagah hai jaha par bohot sari Companies ki listed hoti hai aur bo sabhi companies apne kuch share ko jari karti  hai (bechne ke liye) alag-alag price me.

or fir log unke share ko khareedte hai aur jab share ka price badh jata hai toh use bech dete hai aur paisa kama lete hai.

lekin bahi dusri or agar share ka price kam ho jata bai toh use sell  par nuksan bhi ho ho jata hai.

dosto Aapko bata de ki share ka price kam ya jyada (Fluctuate) hota rehta hai aaj kich aur hai toh kal kich aur hoga.

Stock Market me jyada tar log sirf isliye paisa invest karte hai taaki unhe future me jyada se jyada Return mil sake aur bo jaldi se jaldi ameer ban sake.

Lekin share market ko samjhana aasan nahi hai isme bohot saari cheeje ya Term aapko pata honi chahiye jaise: SEBI yaani Security and Exchange board of India jiska bohot bada role hota hai share market me.

Iske alawa IPO, Demat Account, Sense and Nifty, Equity, Commodity, Currency, Derivatives, Devidend, bonus in cheejo ko samjhana aaoke liye bohot jarrori hai toh agar aap share Market me bilkul nay hai toh aaiye ise ek aasan example ke dwara samajhte hai.

Example : Maan Lijiye Aapney Koi Company Kuch Samay Tak Apki Company Bohot Aachi Chali Lekin Aab Apko Apni Company Ko Aur Aage Badhani Hai Jiske Liye Aap ko 10 lakh rupee ki jaroorat hai lekin apke pas itna paisa nahi hai aur na hi apka koi family ya friends paisa laga sakta toh aise me aap kya karoge

Sayad Aap Sochenge Ki Me Bank Se Loan Le Lunga Aur Company Me Laga Dunga Lekin Aapko Bhi Pata Hai Ki Us Par Aapko kafi Byaaj Dena Hoga Toh Fir Ham Aur Kya Kar Sakte Hai ?

Ek Tareeka Hai Aap Apni Company Ko Share Market karwa de aur apni company ke share jari kar de fir log aapki company me paisa lageyenge.

Share kab khareedna aur bechna chaiye ?

Equity Meaning in hindi

Kisi bhi company ko share market me list kaise kare ? Agar aapko 10 lakh rupey ki jaroorat hai toh aap apni company ko share market par list karke 10 lakh ruoey aasani se jama kar sakte hai iske liye sabse pehle aapko apni company ko stock Exchange 

(BSE ya NSE) par list karana hoga.

BSE Yaani Bombay Stock Exchange jis oar 4000 ss bhi jyada companies listed hai. aur NSE matlab National Stock Exchange jis par 1500 se jyada companies listed hai.

Toh Apni company ko stock Exchange par list karane ke liya aapko sabse pehle jana hoga (SEBI) ke pass SEBI ke pass aapko apni company ki sabhi details deni padti hai aur ek baar jab SEBI aapki company ko verify karke approval de deti hai. iske baad aap apni company ko stock Exchange par list karwa sakte hai.

Toh tab aap pehli baar apni company ke share bechne ja rahe hai aur aapko 10 lakh rupey ki jaroorat hai toh aap 100 ke hisab se 10,000 share nikale aur isi ko bola jata hai IPO yaani Initial Public Offering matlab ki jab koi company pehli baar apne share nikalti hai aur share market par list hoti hai toh use hi IPO bolte hai.

Iske baad jab log aapki company ke share ko khareedenge aur jab sare shre bik jayenge toh hame 10 lakh rupey mil jayenge apne bank account me.

Share kya hota hai ? What is share in Hindi share ka matlab hota hai kisi company me aapki hissedaari agar aapne company ka share khareeda hai toh iska matlab hai ki aap us company ke kuch hisse ke malik hai,

matlab us y me aapka kuch paisa laga hua hai toh agar company labh kam aati hai ya profit me jati hai toh aapka bhi profit hota hai aur agar company ka nuksan ho jata hai toh aapko bhi utna hi loss hoga   

Maan lokisi company ke kul 100 share hai aur unme se 10 share aap ke paas hai toh us company ke 10% ke malik kehlayenge theek isi parakar se kisi bhi company ke share holder uske alag alag percent ke malik hote hai.

Aaj aap kisi ki company ke share ko ghar baithe broker ke dwara online khareed aur bech sakte hai, broker kuch website ya apps hote hai jo aapko share ko khaaredne aur bechne ki subhida deti hai, undia me bohot sare broker hai jaise: Zerodha, Upstock, Angel broking, Sherkhan etc in broker ki apps ya website par jakar aap kisi bhi share ko khareed aur bech sakte hai .

Loss hota hai toh uske share ko jaldi-jaldi bechne lagte hai jisme share ka price down ho jata hai taaki aage chalkar agar shre ka price aur kam ho toh unhe aur jyada nuksan na jhelna pade.


Share it:

Internet